77_cry Manan restless manan


part 77.


"tere bina jiya jaye na "


sab ka ghum ne ka plane banana ab aage.


next day sab jane ke liye bag pack karke hall main aate hai.
nandani di ke pass hoti hai baby ke sath tab hi manik bhi wahi aa jata hai.
manik _Ji di aapne bolaya.
di _han bolaya tha beta ek baat karni hai tum dono se.
manik nandani _Ji di boliye
ek sath bolte hai aur phir chup ho jate hai di hansne lagti hai.
di _tum dono to aise khade ho jaise main saza dene wali hon tum dono ko relx main bas ye keh rahi ho ki hum sab jaa rahe hai aur maid bhi village jaa rahi hai two week ke liye to sari jimmedari nandani par aa jayegi manik to tum ghar jaldi aa jaye karna Manan rona nahi chahiye.
manik _Manan koun.
di _tumhara beta Manan maine oska ye hi name rakha hai achha hai na.
manik _han acha hai par alg sa hai Manan.
di _tum dono ke name se mil kar bana hai manik ka MA nandani ka nan Manan haina unique sa name.
manik _ pata nahi aap ko pasand hai na ye hi bahut hai.
di _maine jo kaha samgh gaye na ghar jaldi aana hai tumhe koi laparwahi na ho baby ke mamle main nahi to dono ki halat kharab kar dongi main agar ose kuchh bhi hua to.
manik _woh maira bhi beta hai di aise kaise ose kuchh bhi ho ga don't worry. aap jaye aaram se yahan ki sari jimmedari mugh par chhod de main sab dekh longa aap befikar hokar jaye.
di _aur nandani ka khayal bhi iss jimmedari main shamil hai samghe tum.
manik _ han maire bete ki maa aur iss ghar ki bahu hai to jimmedari to hogi hi to otha longa osse jyada ki mugh se umeed na kare Chale late ho rahe hai hum.
aur chala jata hai aur nandani chup chap khadi ose jata hua dekhti rehti hai.
di _gussa hai beta pata nahi kab tak rahe ga ye aisa hi hai pyar karega to Ji jaan se aur gussa karega to bhi Ji jaan se bas himmat mat harna tum thik hai na Manan ka khayal rakh na maid ko maine hi bhej a hai yahan se take woh jyada se jyada tumhare sath rahe aur phir se tumhe pyar karne lage.
ye sun kar nandani heran hokar di ko hug kar leti hai.
nandani _thanku so much di aap bahut achi hai bahut jyada maine aap ko pehchan ne main galti kar li plese maf karde mughe.
di _pagal kahi ki main tumse naraj thi hi nahi to mafi kis baat ki chal ab chhod mughe tera beta rone laga hai dekh.
nandani hug broke karke Manan ko God main lekar di ke sath nikal jati hai hai room se aur phir sab rawa na ho jate hai aur manik bhi chala jata hai.
nandani _Mali kaka gate keeper se kahe gate sahi se band karde main room main jaa rahi hon Manan ro raha hai.
Mali kaka _thik hai bahu tum aaram karo chal kar.
nandani gate band karke apne room main aa jati hai  aur fidding karwa kar so lane lagti hai par woh sota nahi hai.
nandani _kya hua beta so jao na par Manan sota nahi hai.
nandani _garmi lag rahi hai kya tumhe chalo papa ke room main ac hai waha so jao jakar ke main kuchh kaam kar leti hon lunch bhi banana hai abhi .Manan ko lekar manik ke bed par beth jati hai aur thodi der main Manan so jata hai.nandani oske charo tarf pilow set karke niche chali jati hai aur lunch tayyar karti hai jaldi jaldi. phir room main jakar Manan ko dekhti hai jo ab bhi so raha hota hai.
nandani _chalo ye so raha hai ab shower le leti hon jaldi se manik aata hi hoga aur jaldi se bathroom main jakar shower lene lagti hai aur thodi der main manik bhi aa jata hai room main aur Manan ko bed par soya dekh oske face par smile aa jati hai woh oske pass jakar beth jata hai aur oske for head par kiss karta hai. aur na najar bath room se girne wali a awaj par jati hai.
ander nandani jaldi main dress le jana bhol jati hai.
nandani _oh dress lana bhol gayi main chalo bath robe hai abhi manik kaha aaye hai jaldi se jakar dress pehn longi Manan bhi so raha hai abhi aur jaldi se bath robe pehn kar bina samne dekhe gate khol kar bahar aati hai aur samne se aate manik se se takra jati hai aur manik ke chest se bang karti hai aur sare hair towel se nikal kar spred ho jate hai aur manik nandani ko iss tarha dekh kar shoked reh jata hai aur idhar nandani ki bhi ye hi halat hoti hai.
nandani jaldi se manik se dor ho jati hai aur. .
nandani _sorry mughe nahi pata tha aap room main hai woh main jaldi jaldi main dress le jana bhol gayi thi maine soucha jaldi se naha leti hon phir Manan oth jata to mughe kuchh nahi karne deta.
manik _ maine aap se pochh a kya jo aap itni safai pesh kar rahi hai jayiye jakar dress change kare Manan othne wala hai main nahi sambhal sakta rote hue bachcho ko. aur aaj ye yahan par kyu so raha hai.
nandani _woh isse ac main sone ki aadat hai sir ke yahan bhi ac main rehta tha aur di ke pass bhi ac main rehta tha maire room main ac nahi hai to so nahi raha tha issliye maine yahan so laya aur ye so gaya jaldi se.
manik _hmm sun liya maine ab jao dress change karo.
nandani Ji keh kar jane lagti hai tab hi.
manik _kal tumhare room main ac lag jayega issliye aaj ki rat tum yahin so sakti ho Manan ke sath main niche di ke room main so jaonga.
nandani sun kar khush ho jati hai aur.


nandani _ aap hi kyu hum dono bhi niche hi so jayenge ghar ko khali kaise chhod sakte hai niche koi bhi nahi hai.
manik _hmm thik hai aisa hi karte hai.
aur Manan ko dekhne lagta hai aur room main nandani dress change karte hue.
nandani pov stone men jara farq nahi pada mughe aise dekh kar bhi kaise pat thar ki tarha khada raha pehle aise dekh kar pagal ho jata tha aaj koi farq hi nahi pada khados ko. pov end.


phir nandani jaldi jaldi tayyar hokar niche jati hai Jahan manik Manan ko chup karwa raha hota hai.
nandani _ale mela beta oth gaya bhoki lagi hai aap ko chalo mama aap ko milk pila ye gi phir maira beta khelenge apne papa ke pass aur phir couch par beth kar Manan ko fidding karwate lagti hai aur manik newspaper read karne lagta hai. phir dono sath beth kar lunch karte hai aur manik office chala jata hai aur nandani gate band karke di ke room main Manan ke sath so jati hai aaram se.


one week aise hi nikal jata hai manik ab bhi wese hi hota hai Manan se pyar karta hai par nandani se pori si baat bhi nahi karta hai aur nandani hurt hoti rehti hai oske bihavoir se par manik ka gussa kam hone ka name nahi leta hai aur phir ek din
manik jab office se lout kar aata hai nandani baby ke sath khud bhi ro rahi hoti hai.manik dekh kar shoked reh jata hai ki hua kya hai.manik dhere se chalta hua nandani ke pass jakar khada ho jata hai.
manik _kya hua kyu ro rahi ho.
nandani _ye chup hi nahi ho raha hai kab se chup karwa rahi hon main roye jaa raha hai roye jaa raha. main kya karo.
manik ye sun kar thoda sa smile karta hai ye sun kar par smile hide kar leta hai .aur chup chap baby ko apne aarms main lekar ose chup karwa ne lagta hai
manik _ale ale maira raj kumar kyu ro raha hai bua dadi ki yad aa rahi hai aap ko ya mukti bua ki hon kyu ro rahe ho aap bhoki lagi hai aap ko hon main ek bachche ko hendel kar sakta hon do do baby ko nahi plese chup ho jao.idhar se od har ose lekar ghum ta hai par woh chup nahi hota hai.
nandani _rote hue maine kitna chup karwaya nahi hua chup iski tabiyat kharab hai shayd Hume Dr ke pass jana hoga.
manik _ok chalo Dr ke pass.dono Dr ke pass jate hai.nandani ab bhi ro rahi hoti hai.
manik _oh plese ab aagaye na Dr ke pass ab to rona band karo ye ro raha hai tum ro rahi ho kya mazak hai yar disgusting.
nandani manik ko gusse main dekh rona band kar deti hai.manik ose chup hota dekh relx fill karta hai. tab hi Dr aate hai.
Dr _hello Mr malhotra how are you.
manik _I am fine Dr but my son don't so fine plese Chake him.
Dr _ya shour Mrs malhotra aap baby ko lekar aaye main isse Chake karta hon.nandani ose carefully manik se lekar Dr ek sath jati hai.manik pareshan sa betha hota hai.tab hi Dr nandani ke sath aata hai.manik jaldi se khada hokar.
Dr _yes Dr wats happen my son.
Dr _ relx relx Mr malhotra aap bethe pehle phir mairi baat sune.aur Dr jo kehta hai ose sun kar nandani chonk kar manik ko dekhti hai. aur manik nandani ko dekhta hai...
Dr _ aap ka bachcha bhok a hai Mr malhotra.
manik _what Dr bhok a hai nandani ko dekhta hai gusse main.
nandani _par Dr sahab maine to ose dodh pila ya tha.
Dr _ aap apna dodh deti hai baby.
nandani _Ji Dr
Dr _ok bottle se milk thoda hi deti ho.
manik z_no Dr bilkul nahi.
Dr _to dena start karde aap ka bachcha bhok at rehta hai maa ka dodh oske liye pora nahi padta hai aap ke wife ke dodh nahi banta hai jyada abhi issliye baby ko bottle se milk diya kare take woh bhok a na rahe.
manik _but bottle se dodh harmful nahi hota . hai kya

Comment