🟦 CHAPTER 50 🟦

Sonali ko Kapoor brothers se maafi mangta dekh Juhi ne frown kiya aur usse zor se bola.Β 

" Sona beta tu maafi kyun maang rahi hai inse!! Nahi!!!"

" Tum chup raho!! Beech mein bolne ki ijazat kisne di hai tumhe abhi!!" Kabir ne JUhi ko warn kiya.Β 

" M-Maine... Myra ke shoulder par flower vase maara tha...!! I am sorry!!" Sonali ne rote hue bola.Β 

" Kyun maara tha yeh bhu bata do!! Khud bataogi ya bulwana padega!!" Harsh zor se bola. Usko wo achhe se yaad tha. Us din wo log bhi ek mission se wapas bahut injured hokar aaye the. Usi din Harsh ne Myra ko apni feelings batayi thi aur Myra ne Harsh ko apna poora sach bataya tha.Β 

" W-wo uski br-branded custom made saree- Mai Myra se jealous feel- kar rhai thi" Sonali ne rote hue stutter kiya.Β 

" Myra ko chaanta mara tha na ghar mein apne!!" Jai ne bhi zor se bola.

" Myra ko cockroaches se darr lagta hai!! Jaan bujhkar usko envelope diya tha na tumne!!" Naman ne bola.Β 

" H-haan... Maine ek baar sun liya tha ki Myra ko cockroaches se bahut darr lagta hai isilye maine-" Myra ki baat beech mein Yash ne cut kar di.

" Chup!! Ek dum chup!! Us din gloves pehenkar tumne use itna daraya ki wokaanch ke toote hue tukde ke uper se bhagkar gayi darr ki wajah se!! Uske pairon mein wo kaanch ke tukde ghuse hue the!! Wo traumatize ho gayi thi!!"Β 

Juhi aur Anupam Khanna yeh sab kuchh sun rahe the. Un logo ko ab samajh mein aa raha tha ki Sonali kabhi Gia gayi hi nahi thi. Wo Kapoor mansion mein Myra ke saath yeh sab kar rahi th. Juhi ko a samajh mein aa raha tha ki jab bhi wo khud ya Anupam Khanna uski Goa trip ki pictures maangte the to wo humesha bahane kyun maarti rehti thi.Β 

" Isse bhi tumhara mann nahi bhara to tumne uski body paralyze kar di!! Mai kuchh minute ke liye bahar kya gaya tumne yeh saare kaand kar diye!! Humare itn etight security system ko tumne breach kiya to kiya kaise!!!" Kabir bhi cheekha.Β 

Kabir ki baat sunkar Naman ke kaan khade ho gaye. Kabir ki baat mein ek point to tha. Ye point un logo ne pehle miss kar diya tha. Naman bhi sochne laga ki aakhir kaar kaise yeh sab ho sakta hai. Usne anupam Khanna ka chehra dekha jo gusse se laal tha aur wahin Juhi bahut gehrayi se kuchh soch rahi thi.Β 

Ekdum se Naman ne bola.

" Aarambh! Is Anupam Khanna ko dungeon mein lekar jaao bahut achhe se khatir dari karo! Juhi ko bhi le jao aur achhe se khatir daari karwao. Isko doosre wale mein rakhna aur call tithi and tell her ki aaj usko finally maza aane wala hai"Β 

Naman ne bahut hi zyada calm tone mein bola. Sonali darr gayi thi.Β 

Guards Juhi aur Anupam Khanna ko ghaseetkar leja rahe the. Wo dono protest kar rahe the par sab kuchh vain mein ja raha tha. Apne parents ki yeh haalat dekhkar Sonali ko bilkul bhi achha nahi lag raha tha. Wo khud jaisi bhi thi, apne papa mummy se bahut pyar karti thi.Β 

" Dekho, tumne Myra ko poisonate karkar bhi maarne ki koshish ki aur usko pagal saabit karne ki bhi. Apne ghar mein tumne apni maa se usper haath bhi uthwaya. Correct hai?"

Sonali ne thoda socha aur fir apna sir haan mein hilaya.Β 

" Good. Ab mai jo bhi poochhunga, uska jawab tum hume dogi." Naman ne calmly poochha.Β 

" Mere mummy papa... "

" Unhone humare saath, Myra ke saath, Myra ki mom ke saath, humare parents ke saath bahut galat kiya hai. Uski saza unhe milkar hi rahegi... Tumhare paas mauka hai. Tum sab kuchh shuru se batado. Hum tumhe kuchh nahi karenge. Yahan tak ki tumhara bahut dhyan rakha jayega. Tum happy life jee paogi. Yeh Naman Kapoor ka vaada hai tumhe."Β 

" Mai... Mere mummy papa..."Β 

" Deal is still on Sonali" Naman ne firse bola. He was a earning a look of disbelief from Kabir and Jai.Β 

" Bhai? Isne humari Myra ke saath itna bura kiya fir bhi!?"Β 

" Shut up Jai!! Naman baat kar raha hai! Chup karo is waqt!" Sahir nr Naman ko daata aur wo instantly chup ho gaya.Β 

" Jo mere mummy papa ne tumhare saath kiya... Myra ki mom ke saath kiya... Mai nahi janti... Mia bas itna janti hoon ki maine Myra ko marne ki koshish ki... Mai sirf tumhe sab kuchh bataungi... Tumhare baaki bhaiyon ko nahi... Tum khud beshak unhe bata dena... "

Naman ne uska darr amajhte hue nod kiya. Usne reluctantly sabko bahar jane ke liye bola. Uske liye yeh janna bahut zaroori tha ki aisa kaun hai jo unke khilaaf planning itni strong kar raha hai ki easily unka security system ek mausikhiya ladki ne breach kar diya. Sonali ko aise kisi bhi cheez mein koi proffessional knowldge nahi tha.Β 

Naman ne Sahir, Harsh, aur Yash ko ek reassuring look diya.Β 

Paancho bhai bahar chale gaye. Ab basement mein sirf Naman aur Sonali the.Β 


Finally I have posted another chapter!! I am so sorry for the delay shimmers but mere paas studies ki wajah se time hi nahi bach raha tha!!

I hope you like it and do not copy my work. Also do not forget to follow, comment, and vote for my work. Stay tuned for the next part.

Comment