Pehli Mohabbat Ka Ehsaas Hai Tu

PEHLI MOHABBAT KA EHSAAS HAI TU:

Main sochta tha ki meri zindagi mein pyaar ki koi jagah nahi hai. Jab Monami ne izhaar kiya apne pyaar ka, tab shayad pehli baar yeh khayal mann mein aaya hoga ki pyaar aur mera bhi koi naata ho sakta hai.

Param Bhaiya ke jaane ke baad mere jeene ki wajah Bhabhi aur Baby the, aur meri zindagi desh aur duty ko kurbaan. Yeh toh nahi badla ki aaj bhi desh aur duty se zyaada kuch bhi important nahi hai mere liye, par shayad ek wahi cheez hai jo nahi badli hai.

Jo dil Bhaiya ke jaane ke baad tham sa gaya tha, wo kisi ke liye dhadak raha hai. Jo dimaag sirf har pal desh aur duty ke baare mein sochta tha, wo ab kisi ke khwaabo mein duba hai. Jo haath dushmano ko punch maarne ya bandook chalaane ke liye uthte the, wo haath kisi ke haath thaamna chahte hain.

Yeh kab hua, kaise hua, kyun hua, yeh toh nahi jaanta. Par ek baat hai jis ke baare mein shayad isse zyaada sure nahi ho sakta hoon main. Mujhe Monami Mahajan se pyaar ho gaya hai.

Aisa lag raha hai ki jaise sab kuch dhundh se chhupa tha iss ek pal se pehle, aur ab, sab kuch saaf dikh raha hai mujhe. Kyun jab aankhein band karoon, toh wo dikhti hai. Kyun jab imagination mein bhi wo mujhe chhooti hai, toh dhadkan tez ho jaati hai. Kyun use sirf khone ka khayal bhi dara deta hai.

Wo mere dil ke dhadakne ki wajah ban gayi hai. Wo meri zindagi ban gayi hai.

Mann kar raha hai, poori duniya mein ailaan kar doon. Bas yeh hi ek cheez kehta rahoon baar baar. Aur sab se pehle, use yeh bataoon.

Monami Mahajan, main tumse pyaar karta hoon. I really, really love you.


Note- I'd love to hear your thoughts, so if you have the time and will, consider dropping a comment. If you like my work, do check my other works out.

Comment